aa.ine tujh pe hī saiqal nahīñ arzānī kā
marhala sirf bachā hai mirī hairānī kā
tujh se mil aa.e bahut pech bahut taab ke ba.ad
qarz utrā hī nahīñ dil kī pashemānī kā
chāhe jis baab se tū mujh ko rihā.ī de de
mujh pe mushkil nahīñ rasta tirī āsānī kā
bujh ke rahnā kabhī be-sāḳhta jalnā kyā hai
ḳhuub andāz hai jānāñ tirī mehmānī kā
ye kitāboñ ye risāloñ kā safar kuchh bhī nahīñ
isti.āra hī bahut hai tirī peshānī kā
lamp bujhte hī sirhāne kā parī aatī hai
rāt-bhar phir vahī mausam tire zindānī kā