ghar meñ kaisā shafaqistāñ kā samāñ thā pahle
mauj-e-sad-rañg meñ be-ḳhvāb jahāñ thā pahle
kis khañDar meñ hameñ mahbūs havā le aa.ī
shab ke siine meñ bhī mahfūz makāñ thā pahle
bādbāñ kashtiyāñ phir mauj-e-havā kī raunaq
kaun kis haal meñ aur kaun kahāñ thā pahle
zīna-e-shām pe rakkhā hai charāġh-e-ḳhasta
jis kī rag rag meñ ravāñ zard dhuāñ thā pahle
ab taraf tā-ba-taraf chhā.ī hai bas gum-shudagī
isti.āra hai alāmat hai ayaañ thā pahle