roz tabdīl huā hai mire dil kā mausam
roz kamre meñ mire sard havā aa.ī hai
fikr kī aañch meñ pighle to ye ma.alūm huā
kitne pardoñ meñ chhupī zaat kī sachchā.ī hai
roz ā.ankhoñ meñ utar jaatā hai ḳhanjar koī
in dinoñ ahl-e-nazar ko ġham-e-bīnā.ī hai
mere chehre se jo paḌh sakte ho paḌh lo yaaro
dil kī har baat mire lab pe kahāñ aa.ī hai
apne kāñdhe pe liye phirtī hai ehsās kā bojh
zindagī kyā kisī maqtal kī tamannā.ī hai
kyuuñ na 'tanvīr' phir iz.hār kī jur.at kiije
ḳhāmushī bhī to yahāñ bā.is-e-rusvā.ī hai