pheñkeñ bhī ye libās badan kā utaar ke
kab tak raheñ giraft meñ lail-o-nahār ke
tasḳhīr-e-kā.enāt-o-havādis ke bāvajūd
had pā sake na jabr-o-ġham-o-iḳhtiyār ke
bikhrā hamesha reg kī sūrat havāoñ meñ
Thahrā kabhī na misl kisī kohsār ke
tanhā khaḌā huā huuñ maiñ dasht-e-ḳhayāl meñ
ḳhāmosh ho chukā bhī samundar pukār ke
'tanvīr' āgahī deñ kahāñ tak hayāt ko
be-nūr ho chale haiñ diye e'tibār ke