soch kā zahr na ab shām-o-sahar de koī
aam hai be-ḳhabarī aisī ḳhabar de koī
sair-e-āfāq ho kyuuñ mashġhala-e-fikr-o-nazar
kaash mere par-e-parvāz katar de koī
duur tak bikhrā huā ret kī sūrat hai vajūd
ḳhud ko āvāz idhar de ki udhar de koī
mere alfāz na kar paa.e ma.ānī ko asiir
kitne dariyāoñ ko ik kuuze meñ bhar de koī
munkashif jis se hoñ asrār mirī hastī ke
jaane kab mujh ko vo irfān-o-nazar de koī