Tanveer Samani

dasht mein jo bhi hai jaisa mera dekha hua hai

Tanveer Samani

dasht meñ jo bhī hai jaisā mirā dekhā huā hai
rāsta us ke safar kā mirā dekhā huā hai
kis liye chīḳhtā chiñghāḌtā rahtā hai bahut
mauj-dar-mauj ye dariyā mirā dekhā huā hai
vaqt ke saath jo tabdīl huā kartā hai
aa.ina aa.ina chehrā mirā dekhā huā hai
rañg-o-roġhan mirī tasvīr ko dene vaalā
āb-e-shafāf hai kitnā mirā dekhā huā hai
kis tarah tujh ko ye batlā.ūñ havā ke jhoñke
ret par likkhā hai kyā kyā mirā dekhā huā hai
kis jagah kaun gaḌā hai mujhe ma.alūm hai sab
is tire shahr kā naqsha mirā dekhā huā hai
raat ke ba.ad sahar hotī hai raushan 'tanvīr'
hai añdhere meñ ujālā mirā dekhā huā hai
Top Urdushayar.com