koī imkāñ to na thā us kā magar chāhtā thā
kab se koī kisī dīvār meñ dar chāhtā thā
zabt ke peḌ ne gul aur khilā.e ab ke
aur hī tarz kā ye dil to samar chāhtā thā
āḳhirī manzil-e-taskīn-e-dil-o-jān talak
manzileñ raah na kāTeñ ye safar chāhtā thā
chand lamhoñ ke liye jaḌ ko vo sairāb kare
aur shitābī se nikal aa.e samar chāhtā thā
kitnā kam-fahm thā koī ki jalā kar un ko
zindagī par mire ḳhvāboñ kā asar chāhtā thā
ye alag baat ki teshe se shanāsā.ī na thī
vārnā jaan koī tujh pe magar chāhtā thā
hijr ehsās ko shal bhī to kiye rahtā hai
asar us kā koī bā-rañg-e-digar chāhtā thā
us ko sāyoñ ke ta.āqub meñ likhā thā rahnā
dard āñgan meñ ghanā ek shajar chāhtā thā
ek gahrī sī nazar rauzan-e-dil ke andar
dasht-e-ehsās kahāñ shams o qamar chāhtā thā
āñdhiyāñ dosh pe le kar vo uḌā phirtā ho
aur salāmat bhī rahe kāñch-nagar chāhtā thā