Saima Esma

sar-e-KHayal main jab bhul bhi gai ki main hun

Saima Esma

sar-e-ḳhayāl maiñ jab bhuul bhī ga.ī ki maiñ huuñ
achānak ek ajab baat ye sunī ki maiñ huuñ
talāsh kar ke mujhe lūTne ko thā koī
mire vajūd kī ḳhushbū pukār uThī ki maiñ huuñ
ki tīrgī meñ palī aañkh ko yaqīñ aa jaa.e
zarā buland ho āhañg-e-raushnī ki maiñ huuñ
vo ḳhālī jaan ke ghar lūTne ko aayā thā
mare adū ko ḳhabar aaj ho ga.ī ki maiñ huuñ
na-jāne kaisī nigāhoñ se maut ne dekhā
huī hai niiñd se bedār zindagī ki maiñ huuñ
lapeT do saf-e-mātam uThā rakho nauhe
pukārtā sar-e-mahshar sunā koī ki maiñ huuñ
Top Urdushayar.com