mayassar ḳhud nigah-dārī kī āsā.ish nahīñ rahtī
mohabbat meñ to pesh-o-pas kī gunjā.ish nahīñ rahtī
añdhere aur bhī kuchh tez-raftārī se baḌhte haiñ
diyā koī jalāne kī jahāñ koshish nahīñ rahtī
ye dil to kis taraf jaane bahā kar le gayā hotā
nigāhoñ meñ agar vo sā.at-e-pursish nahīñ rahtī
mah-o-anjum se lauT aa.eñ ijāra-dār duniyā ke
jahāñ ye paañv rakhte haiñ vahāñ tābish nahīñ rahtī
bahut se phuul lahje ḳhaar hote ham ne dekhe haiñ
kisī shīrīñ-navā kī dil ko ab ḳhvāhish nahīñ rahtī
musallas kā ḳhat-e-sālis mujhe mil kar nahīñ detā
kabhī qismat se vo ruk jaa.e to bārish nahīñ rahtī