us raste par jaate dekhā koī nahīñ hai
ghar hai ik aur us meñ rahtā koī nahīñ hai
kabhī kabhī to achchhā-ḳhāsā chalte chalte
yuuñ lagtā hai aage rasta koī nahīñ hai
ek sahelī baaġh meñ baiThī rotī jaa.e
kahtī jaa.e sāthī merā koī nahīñ hai
mehr-o-vafā qurbānī qissoñ kī haiñ bāteñ
sachchī baat to ye hai aisā koī nahīñ hai
dekh ke tum ko ik uljhan meñ paḌ jaatī huuñ
maiñ kahtī thī itnā achchhā koī nahīñ hai
us kī vafādārī mashkūk Thahar jaatī hai
kār-e-vafā meñ dushman jis kā koī nahīñ hai