naqsh jab zaḳhm banā zaḳhm bhī nāsūr huā
jā ke tab koī masīhā.ī pe majbūr huā
par parvāz bhī tab tak na khule the jab tak
baiTh jaane kī thakan se na badan chuur huā
din kī chhalnī meñ tirā lamha-e-fursat chhāne
dil to lagtā hai isī kaam pe māmūr huā
dāman-e-dost hai ik zehn ke pardoñ meñ kahīñ
jis qadar haath baḌhāyā hai so vo duur huā
kabhī be-samt na hone kī duā māñgī thī
kasrat-e-samt se rasta mirā ma.amūr huā
chīḳhnā chāhtī huuñ chīḳh nahīñ paatī huuñ
ḳhvāb hotā thā haqīqat ko bhī manzūr huā