kise ḳhabar thī ki ḳhud ko vo yuuñ chhupā.egā
aur apne naqsh ko lahroñ pe chhoḌ jā.egā
ḳhamosh rahne kī aadat bhī maar detī hai
tumheñ ye zahr to andar se chaaT jā.egā
kuchh aur der Thahar jaao ḳhvāb-zāroñ meñ
vo aks hī sahī lekin nazar to aa.egā
bachā sako to bachā lo ye āsmāñ ye zamīñ
zarā sī der meñ ye ashk phail jā.egā
ye apne dhyān meñ rakhnā ki maiñ na aayā to
tulū-e-sub.h kī ḳhātir kise bulā.egā
bahut huā to yahī hogā ai mire 'ḳhurshīd'
vo shaḳhs jā ke kabhī lauT kar na aa.egā