Athar Saleemi

mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain

Athar Saleemi

mohabbateñ bhī likhī huī haiñ adāvateñ bhī likhī huī haiñ
kitāb-e-dil meñ to jiine marne kī muddateñ bhī likhī huī haiñ
barahna peḌoñ ke zāviyoñ meñ ghane añdhere uge haiñ lekin
inhī añdheroñ meñ raushnī kī ibārateñ bhī likhī huī haiñ
yahī zamīñ hai ki jis ne mujh ko mirā hī qātil banā diyā hai
isī zamīñ par mire lahū kī shahādateñ bhī likhī huī haiñ
hanūt chehroñ ke ā.inoñ meñ havā kī lahroñ ne ye bhī dekhā
khañDar khañDar par na.e dinoñ kī bashārateñ bhī likhī huī haiñ
mirī nazar meñ surāġh-e-manzil shu.ūr ban kar chamak rahā hai
mirī jabīñ par kaḌe safar kī masāfateñ bhī likhī huī haiñ
sitam ke māroñ kī be-hisī ko tamāshā-gāhoñ meñ laane vaalo
nahīf jismoñ kī bebasī meñ baġhāvateñ bhī likhī huī haiñ
jadīd harfoñ ke dā.eroñ meñ purānī ḳhushbū rachī huī hai
sadā ke ruḳh par ga.ī rutoñ kī shabāhateñ bhī likhī huī haiñ
zamīñ kī ThanDī tahoñ ke andar alaav karvaT badal rahe haiñ
havā ke sākit pane pe 'at.har' qayāmateñ bhī likhī huī haiñ
Top Urdushayar.com