Asghar Velori

kahne aae the kuchh kaha hi nahin

Asghar Velori

Vellore, Tamil Nadu, India

1931
kahne aa.e the kuchh kahā hī nahīñ
chal diye jaise kuchh sunā hī nahīñ
is qadar zulm ibn-e-ādam par
jaise us kā koī ḳhudā hī nahīñ
ham jamā kar nigāh baiThe haiñ
apnī qismat kā dar khulā hī nahīñ
fikr āġhāz hī kī hai sab ko
koī anjām sochtā hī nahīñ
tere maqtal meñ aa ga.e āḳhir
aur kuchh ham ko rāsta hī nahīñ
vo tire naqsh-e-pā ko kyā samjhe
jis kā sajde meñ sar jhukā hī nahīñ
tū kitāboñ meñ DhūñDhtā kyā hai
ishq kī chāra-gar davā hī nahīñ
jis ko siine se ham lagā lete
ham ko aisā koī milā hī nahīñ
aur ab jī ke kyā kareñ 'asġhar'
ab to jiine meñ kuchh mazā hī nahīñ
Top Urdushayar.com