Asghar Velori

ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua

Asghar Velori

Vellore, Tamil Nadu, India

1931
ho ga.ī apnoñ kī zāhir dushmanī achchhā huā
chhoḌ dī ham ne bhī un kī dostī achchhā huā
bach ga.e apnoñ ke har mashq-e-sitam se shukr hai
dostoñ ne ham ko samjhā ajnabī achchhā huā
jis ko jiine kā zarā sā bhī nahīñ thā hausla
Dar ke ġham se mar gayā vo aadmī achchhā huā
jaane maiñ aur tū ke jhagḌe kaise suljhāte bhī ham
aa ga.ī thī kaam apnī be-ḳhudī achchhā huā
shaam ke saa.e se bhī Dartī rahī jo raushnī
khā ga.ī us raushnī ko tīrgī achchhā huā
ġham hī apnā yaar hai dil se judā hotā nahīñ
chand lamhoñ kī ḳhushī ab jā chukī achchhā huā
kaun detā mujh ko un kī bevafā.ī kā subūt
aap ne kar dī kahī ko an-kahī achchhā huā
mujh ko dīvāna samajh kar log mujh se duur haiñ
muft meñ jo mujh pe ye tohmat lagī achchhā huā
is tarah se laaj rakh lī ham ne 'asġhar' pyaar kī
rote rote aa ga.ī lab par hañsī achchhā huā
Top Urdushayar.com