ek fitna sā uThāyā hai chalā jā.egā
vaqt be-vaqt jo aayā hai chalā jā.egā
shahr ko saare jalāne ke liye niklā thā
ab jo ghar merā jalāyā hai chalā jā.egā
baiThnā hai to ghane peḌ ke nīche baiTho
ye to dīvār kā saayā hai chalā jā.egā
ham ko māregā kahāñ shīsh-mahal meñ rah kar
sirf patthar hī uThāyā hai chalā jā.egā
vo to aatā hai añdhere hī meñ Dasne ke liye
ab to har samt ujālā hai chalā jā.egā
ḳhud hī thak jā.egā jab gāliyāñ de kar mujh ko
us pe itnā to bharosa hai chalā jā.egā
us ne chup rah ke bhī tūfān uThā.e kitne
aaj kohrām machāyā hai chalā jā.egā
soch ke aayā thā duniyā meñ sab apne hoñge
apnā saaya bhī parāyā hai chalā jā.egā
ġham ke aane kā koī ġham nahīñ ham ko 'asġhar'
apnī marzī hī se aayā hai chalā jā.egā