koī chhoTā yahāñ koī baḌā hai
ye saarā khel zālim vaqt kā hai
vo sar karte haiñ jin ko hausla hai
vagarna zindagī ik marhala hai
tujhe ma.alūm kyā hai lazzat-e-ġham
tirā dil ishq se nā-āshnā hai
jo ḳhud vāqif nahīñ manzil se apnī
ḳhudā baḳhshe hamārā rahnumā hai
Dubo.egā use kyā koī tūfāñ
ḳhudā kashtī kā jis kī nāḳhudā hai
chhupā.ūñ aa.ine se kyā haqīqat
baḌā kam-baḳht hai sach boltā hai
faqat ik darmiyāñ pardā hai varna
tirā merā azal se vāsta hai
milā kar haath ham se fā.eda kyā
vahī ab tak diloñ meñ fāsla hai
nazar jaatī nahīñ 'asġhar' kisī par
nazar meñ jab se vo jalva-numā hai