kisī kī chaah meñ ġham kyā hai aur ḳhushī kyā hai
tujhe ḳhabar nahīñ mafhūm-e-āshiqī kyā hai
tapish meñ dhuup ke hotī hai qadr saa.e kī
na ho jo maut kā ḳhatra to zindagī kyā hai
nahīñ hai farq añdhere meñ aur ujāle meñ
nazar na aa.e jahāñ to vo raushnī kyā hai
haiñ yuuñ to saikḌoñ maḳhlūq bazm-e-hastī meñ
nahīñ hai dil meñ mohabbat to aadmī kyā hai
rahe jo dil se lipaT kar vo ġham hī behtar hai
jo chand lamhoñ kī mehmāñ hai vo ḳhushī kyā hai
hai aadmī to uThānā hai baar hastī kā
hai aas jiine kī hoñToñ pe kapkapī kyā hai
tire liye to jhukānā bhī sar ibādat hai
agar jhukā na sake dil to bandagī kyā hai
tumhāre jalva-e-aqdas kā ek partav hai
ye najm aur ye zohra ye mushtarī kyā hai
vo dil-lagī hai agar gudgudī sī aa jaa.e
jalā de dil ko jo 'asġhar' vo dil-lagī kyā hai