Ejaz Gul

dushwar hai ab rasta aasan se aage

Ejaz Gul

dushvār hai ab rāstā āsān se aage
rakh umar-e-kuhan pichhlā qadam dhyān se aage
aTkā huā sūraj hai isī ek sabaq par
baḌhtā nahīñ din raat kī gardān se aage
qismat kī ḳharābī hai ki jaatā huuñ ġhalat samt
paḌtā hai bayābān bayābān se aage
pahuñchā to nahīñ maiñ dar-e-vaslat pe magar haañ
suntā huuñ kahīñ hai shab-e-hijrān se aage
na taḳht na ābād koī shahr sabā kā
ik girya hai dīvār-e-sulaimān se aage
ḳhamyāza hai is ādat-e-isrāf kā aur bas
jo be-sar-o-sāmānī hai sāmān se aage
kal shor bapā dil meñ thā pahchān kī ḳhātir
ab sakta hai āzār kā pahchān se aage
niklī na kisī ek kī ta.abīr muāfiq
sau ḳhvāb the har ḳhvāb-e-pareshān se aage
Top Urdushayar.com