ghar hai to dar bhī hogā dīvār bhī rahegī
zanjīr bhī hilegī jhankār bhī rahegī
tārīkiyoñ ke qalb-e-tārīk-tar meñ DhūñDo
ik sham.a māvarā-e-anvār bhī rahegī
behtar thā be-ruḳhī kā iz.hār yuuñ na hotā
maanā ki kuchh to vaj.h-e-inkār bhī rahegī
jis aañkh ko chhupā kar rakkhā hai har nazar se
vo nīm-vā bhī hogī bedār bhī rahegī
sahrā talab kā goyā maidān-e-karbalā hai
paañv meñ ret sar par talvār bhī rahegī
qurbat kī sā.atoñ meñ duurī kā ḳhauf hogā
saa.e se raushnī kī paikār bhī rahegī
zāhir hai sādgī bhī 'almās' ke suḳhan se
lekin ġhazal kī fitrat pur-kār bhī rahegī