phir kisī yaad kā darvāza khulā āhista
kaun aatā hai chalā aa.e zarā āhista
dam-zadan meñ nahīñ jā.egī bahār-e-gulshan
aable phūTeñge ai ābla-pā āhista
baat vo saaf hī kab thī jo samajh meñ aatī
mujh se kuchh kahtī rahī chashm-e-hayā āhista
shaam hai ek sitāra hai sar-e-charḳh-e-vafā
maañg us vaqt koī dil se duā āhista
haa.e us shaḳhs pe kyā jāniye kyā guzrī thī
bātoñ bātoñ meñ tire ghar se uThā āhista
hijr kī raat hai pichhle kā samāñ hai 'almās'
dard āhista zarā bād-e-sabā āhista