harf-e-ġhazal se rañg-e-tamannā bhī chhīn le
maiñ jal rahā huuñ ātish-e-naġhma bhī chhīn le
be-barg-o-bār ho gayā imroz kā shajar
mujh se matā-e-gulshan-e-fardā bhī chhīn le
mere junūñ ko hājat-e-dīvār-o-dar nahīñ
ghar se judā huā huuñ to saaya bhī chhīn le
ab to nashāt-e-dīd kā bhī silsila gayā
ya.anī dil-o-nigāh kā rishta bhī chhīn le
chhīnā hai tū ne shaam ke ruḳh se salonā-pan
ab shahr-e-ārzū se ujālā bhī chhīn le
baaqī rahe na dast-e-tasarruf meñ koī shai
jo kuchh mujhe diyā thā vo hissa bhī chhīn le