jo qissa-go ne sunāyā vahī sunā gayā hai
agar thā is se sivā to nahīñ kahā gayā hai
musāfirat kā hunar hai na vāpsī kī ḳhabar
so chal rahā huuñ jidhar bhī ye rāstā gayā hai
amaañ ko niil mayassar na maiñ koī muusā
mujhe supurd-e-farā.īn kar diyā gayā hai
sabab nahīñ thā zamīñ par utārne kā mujhe
sabab baġhair hī vāpas uThā liyā gayā hai
ye muntahā hai mirī nā-rasā.ī kā shāyad
jo duur hadd-e-nazar se pare ḳhalā gayā hai
mahak uThe haiñ mire baaġh ke ḳhas-o-ḳhāshāk
koī Tahaltā huā sūrat-e-sabā gayā hai