Ishtiyaq Talib

chand hain na tare hain aasman ke aangan mein

Ishtiyaq Talib

chāñd haiñ na taare haiñ āsmāñ ke āñgan meñ
raqs karte haiñ sho.ale ab to shab ke dāman meñ
vahshateñ haiñ raqsinda har galī har āñgan meñ
tere ahd-e-zarrīñ meñ ashk-e-ḳhūñ haiñ dāman meñ
kaun dhokā detā hai kaun TuuTā kartā hai
ab tamīz mushkil hai rāhbar meñ rahzan meñ
aise ab ke yaad aa.ī is mah-e-do-hafta kī
chāñdnī utar aa.ī jaise ghar ke āñgan meñ
makḌiyoñ ke jāloñ meñ jaise kiiḌe hoñ be-bas
uljhe haiñ kuchh aise hī ahl-e-fikr uljhan meñ
yuuñ nishāñ haiñ rāhoñ meñ kārvāñ ke qadmoñ ke
khil rahe huuñ har jānib phuul jis tarah ban meñ
phuul khilte the 'tālib' ḳhushbū raqs kartī thī
aaj sho.ale raqsāñ haiñ shāḳh-e-shām-e-gulshan meñ
Top Urdushayar.com