maiñ ne tūfān se pahle kā ishāra dekhā
un kī añgḌā.ī kā jab shoḳh nazāra dekhā
apnī qismat ko kiyā maiñ ne havāle us ke
us ne jaate hue muḌ kar jo dobāra dekhā
maiñ ne har phuul meñ paa.ī hai tumhārī ḳhushbū
ya.anī har chehre meñ bas chehra tumhārā dekhā
ham to bas aaj talak tere hī shaidā.ī haiñ
tum ne sab dekhā magar dil na hamārā dekhā
lauT aate the usī ġham kī taraf ham phir se
jab bhī chāhat kā tirī ham ne kināra dekhā
mere chehre kī ibādat pe na jaanā 'āmir'
maiñ ne fāqoñ pe bhī hai kar ke guzāra dekhā