Mohsin Bhopali

zawiya koi muqarrar nahin hone pata

Mohsin Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1932-2007
zāviya koī muqarrar nahīñ hone paatā
dā.imī ek bhī manzar nahīñ hone paatā
umr-e-masrūf koī lamha-e-fursat ho atā
maiñ kabhī ḳhud ko mayassar nahīñ hone paatā
aa.e din ātish o aahan se guzartā hai magar
dil vo kāfir hai ki patthar nahīñ hone paatā
kyā use jabr-e-mashiyat kī ināyat samjhūñ
jo amal merā muqaddar nahīñ hone paatā
chashm-e-pur-āb samo letī hai ālām kī gard
aa.ina dil kā mukaddar nahīñ hone paatā
chādar-e-ijz ghaTā detī hai qāmat merā
maiñ kabhī apne barābar nahīñ hone paatā
fan ke kuchh aur bhī hote haiñ taqāze 'mohsin'
har suḳhan-go to suḳhan-var nahīñ hone paatā
Top Urdushayar.com