be-ḳhabar sā thā magar sab kī ḳhabar rakhtā thā
chāhe jaane ke sabhī aib-o-hunar rakhtā thā
lā-ta.alluq nazar aatā thā ba-zāhir lekin
be-niyāzāna har ik dil meñ guzar rakhtā thā
us kī nafrat kā bhī meyār judā thā sab se
vo alag apnā ik andāz-e-nazar rakhtā thā
be-yaqīnī kī fazāoñ meñ bhī thā hausla-mand
shab-parastoñ se bhī ummīd-e-sahar rakhtā thā
mashvare karte haiñ jo ghar ko sajāne ke liye
un se kis tarah kahūñ maiñ bhī to ghar rakhtā thā
us ke har vaar ko sahtā rahā hañs kar 'mohsin'
ye ta.assur na diyā maiñ bhī sipar rakhtā thā