Mohsin Bhopali

be-sabab log badalte nahin maskan apna

Mohsin Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1932-2007
be-sabab log badalte nahīñ maskan apnā
tum ne jalte hue dekhā hai nasheman apnā
kis kaḌe vaqt meñ mausam ne gavāhī māñgī
jab garebān hī apnā hai na dāman apnā
apne luT jaane kā ilzām kisī ko kyā duuñ
maiñ hī thā rāh-numā maiñ hī thā rahzan apnā
koī miltā hai jo is daur-e-pur-āshob meñ dost
mashvare de ke banā lete haiñ dushman apnā
jab bhī sach bolte bachchoñ pe nazar paḌtī hai
yaad aa jaatā hai be-sāḳhta bachpan apnā
yuuñ kiyā karte haiñ laḌkoñ ko nasīhat aksar
jaise ham ne na guzārā ho laḌakpan apnā
rañg-e-mahfil ke liye ham nahīñ badle 'mohsin'
vahī andāz-e-taḳhayyul hai vahī fan apnā
Top Urdushayar.com