vo barg-e-ḳhushk thā aur dāman-e-bahār meñ thā
numūd-e-nau kī bashārat ke intizār meñ thā
mirī rafīq-e-safar thiiñ hasad bharī nazreñ
vo āsmān thā aur mere iḳhtiyār meñ thā
bikhar gayā hai to ab dil nigār-ḳhāna hai
ġhazab kā rañg us ik naqsh-e-e'tibār meñ thā
ab aa gayā hai to vīrāniyoñ par tanz na kar
tirā makāñ isī ujḌe hue dayār meñ thā
likhe the naam mire qatl karne vāloñ ke
ajiib baat hai maiñ bhī isī shumār meñ thā
mujhe thā zo.am magar maiñ bikhar gayā 'mohsin'
vo reza reza thā aur apne iḳhtiyār meñ thā