hai vaj.h-e-tamāshā-e-jahāñ dil-shikanī bhī
manzūr hai ai dost! ye neze kī anī bhī
shādāb daraḳhtoñ ke bhī saa.e haiñ gurezāñ
ik jurm huī merī ġharīb-ul-vatanī bhī
piite hī rahe gardish-e-ayyām ke hāthoñ
sahbā-e-malāmat bhī ġham-e-ta.ana-zanī bhī
sochā thā ki us bazm meñ ḳhāmosh raheñge
mauzū-e-suḳhan ban ke rahī kam-suḳhanī bhī
ai silsila-e-nik.hat-e-gesū ke asīro!
hai ishq meñ ik marhala-e-koh-kanī bhī
vīrān jazīroñ kī tarah ḳhushk haiñ āñkheñ
bekār hai ai dard tirī nāla-zanī bhī
ai nāzish-e-sad-rañg na kar un se taġhāful
hai ḳhāk-nashīnoñ se tirī gul-badanī bhī