lafz to hoñ lab-e-iz.hār na rahne paa.e
ab samā.at pe koī baar na rahne paa.e
kis tarah ke haiñ makīñ jin kī tag-o-dau hai yahī
dar to baaqī raheñ dīvār na rahne paa.e
is meñ bhī pahlu-e-taskīn nikal aatā hai
ek hī sūrat-e-āzār na rahne paa.e
zehn-tā-zehn mahaktā hī rahe zaḳhm-e-hunar
fasl-e-harf o lab-e-iz.hār na rahne paa.e
ab ke mausam meñ ye meyār-e-junūñ Thahrā hai
sar salāmat raheñ dastār na rahne paa.e
koī darmāñ ki havā chīḳh rahī hai 'mohsin'
naḳhl-e-hastī pe koī baar na rahne paa.e