azmat-e-fan ke parastār haiñ ham
ye ḳhatā hai to ḳhatā-vār haiñ ham
johd kī dhuup hai īmān apnā
munkir-e-sāya-e-dīvār haiñ ham
jānte haiñ tire ġham kī qīmat
mānte haiñ ki gunahgār haiñ ham
us ko chāhā thā kabhī ḳhud kī tarah
aaj ḳhud apne talabgār haiñ ham
ahl-e-duniyā se shikāyat na rahī
vo bhī kahte haiñ ziyāñ-kār haiñ ham
koī manzil hai na jaada 'mohsin'
sūrat-e-gardish-e-parkār haiñ ham