haqā.eq ko bhulānā chāhte haiñ
koī rañgīñ fasāna chāhte haiñ
badan par oḌh kar gard-e-masāfat
ġham-e-manzil chhupānā chāhte haiñ
ga.ī shab kī rupahlī sā.atoñ ko
na.ī dhaj se sajānā chāhte haiñ
parindoñ ko na patthar se uḌaao
musāfir haiñ Thikānā chāhte haiñ
kushāda sā.ebāñ sab ke liye ho
ri.āyat sab uThānā chāhte haiñ
nasīm-e-sub.h ho sarsar ho kuchh ho
ye paude lahlahānā chāhte haiñ
vo ḳhud bhī to kabhī aa.e the 'mohsin'
jo mahfil se uThānā chāhte haiñ