jām-e-tahī qubūl na thā ġham samo liye
phūloñ ke intizār meñ kāñTe chubho liye
mahrūmī-e-davām bhī kyā lutf de ga.ī
ye soch kar hañse haiñ ki ik umr ro liye
ham haiñ vo sāda-lauh ki pā kar razā-e-dost
ḳhud apne haath apne hī ḳhuuñ meñ Dubo liye
jis samt se bhī bāñg-e-jaras aa.ī dasht meñ
dīvāñgān-e-shauq usī samt ho liye
pichhlā pahar hai shab kā ki hai shaam kā samāñ
vo kyā batā sakeñge jo ik niiñd so liye
kyā jabr hai subūt-e-vafā pesh kījiye
aur un kā naam aa.e to phir lab na kholiye
'mohsin' zabān dījiye bazm-e-ḳhamosh ko
mohmal hai aaj lafz-e-suḳhan kuchh to boliye