mahmil hai matlūb na lailā māñgtā hai
chāk-girebāñ qais to sahrā māñgtā hai
hijr sar-e-vīrāna-e-jāñ bhī mohr-ba-lab
vasl galī-kūchoñ meñ charchā māñgtā hai
is ā.īna-ḳhāne kā har raqs-kunāñ
apne sāmne apnā tamāshā māñgtā hai
nā-ummīdī laakh qafas ījād kare
tā.ir-e-dil parvāz-e-tamannā māñgtā hai
umr bitātā hai imroz meñ aur makīñ
darvāze par dastak-e-fardā māñgtā hai
dhuup javānī kā yārāna apnī jagah
thak jaatā hai jism to saaya māñgtā hai
bāñdh sag-e-āvāra chaukhaT ke andar
ek musāfir tujh se rastā māñgtā hai
log tavālat se ghabrāte haiñ varna
ek zamāna sīdhā rastā māñgtā hai