tā-der ham ba-dīda-e-tar dekhte rahe
yādeñ thiiñ jis meñ dafn vo ghar dekhte rahe
kyā kyā na e'tibār diyā ik sarāb ne
har-chand tishna-lab the magar dekhte rahe
sūraj chaḌhā to phir bhī vahī log zad meñ the
shab bhar jo intizār-e-sahar dekhte rahe
sehn-e-chaman ko apne lahū se sañvār kar
dast-e-havas meñ ham gul-e-tar dekhte rahe
ye dil hī jāntā hai ki kis hausle ke saath
nāqadrī-e-matā-e-hunar dekhte rahe
'mohsin' urūj-e-kam-nazarāñ sāneha nahīñ
ye sāneha hai ahl-e-nazar dekhte rahe