nigār-e-sub.h-e-daraḳhshāñ se lau lagā.e hue
haiñ apne dosh pe apnī salīb uThā.e hue
guzar rahe haiñ dabe paañv vaqt kī mānind
farāz-e-dār pe apnī nazar jamā.e hue
sila mile na mile ḳhūn-e-dil chhiḌakte chaleñ
har ek ḳhaar hai dast-e-talab baḌhā.e hue
vo ab bhī sāya-e-abr-e-ravāñ ko takte haiñ
jinheñ zamāna huā apnā ghar jalā.e hue
chhalak sakā na kabhī jām-e-chashm-e-tar 'mohsin'
agarche umr huī ham ko gungunā.e hue