ḳhabar kyā thī na milne ke na.e asbāb kar degā
vo kar ke ḳhvāb kā vaada mujhe be-ḳhvāb kar degā
kisī din dekhnā vo aa ke merī kisht-e-vīrāñ par
uchaTtī sī nazar Dālegā aur shādāb kar degā
vo apnā haq samajh kar bhuul jā.egā har ik ehsāñ
phir is rasm-e-anā ko dāḳhil-e-ādāb kar degā
na karnā zom us kā tarz-e-istidlāl aisā hai
ki naqsh-e-sañg ko tahrīr-e-mauj-e-āb kar degā
asiir apne ḳhayāloñ kā banā kar ek din 'mohsin'
ḳhabar kyā thī mujhe mere liye kamyāb kar degā