ye tai huā hai ki qātil ko bhī duā diije
ḳhud apnā ḳhuun bahā phir bhī ḳhūñ-bahā diije
niyāz-o-nāz bajā haiñ magar ye shart-e-visāl
hai sañg-e-rāh-e-ta.alluq ise haTā diije
sunā thā ham ne ki manzil qarīb aa pahuñchī
kahāñ haiñ aap agar ho sake sadā diije
sahar qarīb sahī phir bhī kuchh ba.iid nahīñ
charāġh bujhne lage haiñ to lau baḌhā diije
mahakte zaḳhmoñ ko in.ām-e-fasl-e-gul kahiye
sulag uThe jo chaman barq ko duā diije
kuchh is tarah hai ki guzre haiñ jis qayāmat se
samjhiye ḳhvāb use ḳhvāb ko bhulā diije
badal ga.e haiñ taqāze suḳhan-shanāsī ke
udhar atā ho idhar daad barmalā diije
ye kyā zarūr ki ehsās ko zabāñ mil jaa.e
hai hukm-e-naġhma-sarā.ī to gungunā diije