ye mere chāroñ taraf kis liye ujālā hai
tirā ḳhayāl hai yā din nikalne vaalā hai
yaqīn maano maiñ kab kā bikhar gayā hotā
tumhārī yaad ne ab tak mujhe sambhālā hai
hujūm-e-jashn meñ kartā hai ġham-zadoñ ko talāsh
mujhe junūñ ne ajab imtihāñ meñ Daalā hai
kisī kā naam to ham le ke shab meñ sote haiñ
koī to hai jo sahar-dam jagāne vaalā hai
zamāna-sāz Dareñ gardish-e-zamāna se
hamārā kyā hai hameñ hādsoñ ne paalā hai
yahī bahut hai ki naqsh-e-qadam se bach jaa.eñ
suḳhan meñ rāsta kis ne nayā nikālā hai
ḳhudā kare ki use ilm bhī na ho 'mohsin'
vo jis ke gird mirī chāhatoñ kā haalā hai