ehtimām-e-rasan-o-dār se kiyā hotā hai
jis qadar zulm baḌhe azm sivā hotā hai
saut o āhañg hī pairāya-e-iz.hār nahīñ
be-navā.ī meñ bhī andāz-e-navā hotā hai
ġham-zado dā.era-e-ġham se nikal kar dekho
dard se dard kā ehsās baḌā hotā hai
itne badle ga.e ādāb ki ab mahfil meñ
dil kī dhaḌkan pe bhī ehsās-e-sazā hotā hai
ravish-e-vaqt se māyūs na hoñ ahl-e-nazar
sāneha qismat-e-arbāb-e-vafā hotā hai