Mohsin Bhopali

dosto bargah-e-qatl sajate jao

Mohsin Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1932-2007
dosto bārgah-e-qatl sajāte jaao
qarz hai rishta-e-jāñ qarz chukāte jaao
rahe ḳhāmosh to ye hoñT sulag uTheñge
sho.ala-e-fikr ko āvāz banāte jaao
apnī taqdīr meñ sahrā hai to sahrā hī sahī
ābla-pāo! na.e phuul khilāte jaao
zindagī sāya-e-dīvār nahīñ daar bhī hai
ziist ko ishq ke ādāb sikhāte jaao
be-zamīrī hai sar-afrāz to ġham kaisā hai
apnī tazlīl ko me.aar banāte jaao
ai mashīhāo agar chāragarī hai dushvār
ho sake tum se nayā zaḳhm lagāte jaao
kārvāñ azm kā roke se kahīñ ruktā hai
laakh tum raah meñ dīvār uThāte jaao
ek muddat kī rifāqat kā ho kuchh to in.aam
jaate jaate koī ilzām lagāte jaao
jin ko gahna diyā afkār kī parchhā.īñ ne
'mohsin' un chehroñ ko ā.īna dikhāte jaao
Top Urdushayar.com