raat bhar jiine se kyā sham-e-shabistāñ kī tarah
ek lamha hai bahut sho.ala-e-raqsāñ kī tarah
dil ke zaḳhmoñ pe bhī phūloñ kā gumāñ hotā hai
yaad aa.ī hai tirī mauj-e-bahārāñ kī tarah
kyuuñ ho ḳhāmosh rafīqān-e-chaman kuchh to kaho
sub.h-e-gulshan bhī na guzre shab-e-zindāñ kī tarah
lazzat-e-dard ko arbāb-e-havas kyā jāneñ
lazzat-e-dard ki arzāñ nahīñ darmāñ kī tarah
yūrish-e-dard ne pindār-e-vafā toḌ diyā
ham bhī nādim haiñ bahut husn-e-pashemāñ kī tarah
yaad rakhegā sulagtā huā māhaul hameñ
ḳhārzāroñ meñ rahe ham gul-e-ḳhandāñ kī tarah
tab-e-ḳhuddār pe ik turfa sitam hai 'mohsin'
un kā andāz-e-karam ġhair ke ehsāñ kī tarah