bichhaḌ ke tujh se mayassar hue visāl ke din
haiñ tere ḳhvāb kī rāteñ tire ḳhayāl ke din
firāq-e-jāñ kā zamāna guzārnā hogā
fuġhāñ se kam to na hoñge ye māh-o-sāl ke din
har ik amal kā vo kyā kyā javāz rakhtā hai
na ban paḌegā javāb ek bhī savāl ke din
urūj-e-baḳht mubārak magar ye dhyān rahe
inhī dinoñ ke ta.āqub meñ haiñ zavāl ke din
guzar rahe haiñ kuchh is tarah roz o shab apne
ki jis tarah se kaTeñ shāḳh-e-be-nihāl ke din
shikāyateñ bhī bahut haiñ hikāyateñ bhī bahut
guzar na jaa.eñ yūñhī ahd-e-be-misāl ke din
vo zindagī ko nayā moḌ de gayā 'mohsin'
yahī zavāl ke din haiñ mire kamāl ke din