Mohsin Bhopali

waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

Mohsin Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1932-2007
vaqt ke taqāzoñ ko is tarah bhī samjhā kar
aaj kī gavāhī par mat qayās-e-fardā kar
tere har ravayye meñ bad-gumāniyāñ kaisī
jab talak hai duniyā meñ e'tibār-e-duniyā kar
jis ne zindagī dī hai vo bhī sochtā hogā
zindagī ke baare meñ is qadar na sochā kar
harf o lab se hotā hai kab adā har ik mafhūm
be-zabān āñkhoñ kī guftugū bhī samjhā kar
ek din yahī aadat tujh ko ḳhuuñ rulā.egī
tū jo yuuñ parakhtā hai har kisī ko apnā kar
ye badaltī qadreñ hī hāsil-e-zamāna haiñ
baar baar maazī ke yuuñ varaq na ulTā kar
ḳhuuñ rulā.enge manzar mat qarīb aa 'mohsin'
ā.īna-kada hai dahr duur se tamāshā kar
Top Urdushayar.com