yūñhī to shāḳh se patte girā nahīñ karte
bichhaḌ ke log ziyāda jiyā nahīñ karte
jo aane vaale haiñ mausam unheñ shumār meñ rakh
jo din guzar ga.e un ko ginā nahīñ karte
na dekhā jaan ke us ne koī sabab hogā
isī ḳhayāl se ham dil burā nahīñ karte
vo mil gayā hai to kyā qissa-e-firāq kaheñ
ḳhushī ke lamhoñ ko yuuñ be-mazā nahīñ karte
nashāt-e-qurb ġham-e-hijr ke evaz mat maañg
duā ke naam pe yuuñ bad-duā nahīñ karte
munāfiqat pe jinheñ iḳhtiyār hāsil hai
vo arz karte haiñ tujh se gila nahīñ karte
hamāre qatl pe 'mohsin' ye pesh-o-pas kaisī
ham aise log talab ḳhūñ-bahā nahīñ karte