binā-e-ishq hai bas ustuvār karne tak
falak ko chain kahāñ phir ġhubār karne tak
ye kab kahā ki bharosā nahīñ hai va.ade par
maiñ jī sakūñgā tirā intizār karne tak
ḳhabar na thī vo mujhe qatl karne aayā hai
maiñ us ko dost samajhtā thā vaar karne tak
phir is ke ba.ad kahāñ imtiyāz-e-dāman-o-dil
junūñ hai shauq faqat iḳhtiyār karne tak
vo ḳhu-e-ishq basī hai hamārī fitrat meñ
ki saath dete haiñ ham jaañ nisār karne tak
kuchh is se pahle hī aa jaa.e merī ziist kī shaam
hayāt vaqf ho jab din shumār karne tak
mere qabīle kā 'mohsin' ye qaul-e-faisal hai
ki zulm zulm hai sabr iḳhtiyār karne tak