istāda hai jab sāmne dīvār kahūñ kyā
hāsil bhī nahīñ rauzan-e-darkār kahūñ kyā
lagtā to hai kuchh diid ko nā-dīd ke pīchhe
khultā nahīñ manzar koī us paar kahūñ kyā
huuñ tañg zarā jeb se ai hasrat-e-ashyā
shāmil to hai fahrist meñ bāzār kahūñ kyā
jis baat ke inkār kā had-darja gumāñ hai
vo baat yaqīñ ke liye sau baar kahūñ kyā
maiñ un ke javābāt se aur ahl-e-zamāna
haiñ mere savālāt se bezār kahūñ kyā
jis baat pe thī bahs huī bahs se ḳhārij
ab rah ga.ī aapas meñ hai takrār kahūñ kyā
ham-sā.e kī ham-sā.e se pahchān nahīñ hai
paivast hai dīvār meñ dīvār kahūñ kyā
ġhāfil nahīñ aisā bhī maiñ ab apnī rasad se
is dil meñ talab kā hai jo ambār kahūñ kyā
gulzār sā khil uThtā hai ḳhushbū-e-suḳhan se
jaadū hai vo is kā dam-e-guftār kahūñ kyā
hai rañg badan kā luġhat-e-rañg meñ nāpaid
lā-sānī hai qāmat meñ qad-e-yār kahūñ kyā