Mohammad Ahmad Ramz

phir ek tir sambhaala usne mujh pe nazar Dali

Mohammad Ahmad Ramz

1932
phir ik tiir sambhālā us ne mujh pe nazar Daalī
āḳhirī nekī thī tarkash meñ vo bhī kar Daalī
Thahro yahīñ ai qāfile vaalo aayā dasht-e-balā
us ne ye kah ke apne sar par ḳhāk-e-safar Daalī
aur koī duniyā hai terī jis kī khoj karūñ
zehn meñ phir ik samt bikherī rāhguzar Daalī
haath havā ke baḌhne lage haiñ bastī ke atrāf
dekho us ne chiñgārī ab kis ke ghar Daalī
chashm-e-falak kā ik aañsū hai gardish kartī zamīñ
kyā pesh aayā jo us ne binā-e-dīda-e-tar Daalī
vaqt se pūchho vaqt se sachchā shāhid koī nahīñ
kis ne teġh uThā.ī ran meñ kis ne sipar Daalī
maiñ to bas gauhar se ḳhālī ek sadaf huuñ 'ramz'
mushkil hogī us ne koī baat agar Daalī
Top Urdushayar.com