us paar bantī miTtī dhanak us ke naam kī
is paar maiñ huuñ aur siyāhī hai shaam kī
kin kin bulandiyoñ se ulajhtā rahā hai zehn
ye āsmāñ jhalak bhī nahīñ us ke baam kī
alfāz kī giraft se hai māvarā hanūz
ik baat kah gayā vo magar kitne kaam kī
ejaaz de rahā huuñ ab apne hunar ko maiñ
shamshīr ke liye hai zarūrat niyām kī
ik raushnī sī mujh pe utartī hai gaah gaah
buniyād us ne Daalī payām-o-salām kī
ḳhushbū kā koī rañg na paikar na pairahan
tasvīr hai magar tire tarz-e-ḳhirām kī
bolo ki tum bhī rakhte ho ik sarguzisht 'ramz'
sambhlo ki us ne apnī kahānī tamām kī